ja ke suraj se mila din mein bhi ghar se nikla
baad muddat main charaghon ke asar se nikla
ab to mil jati hain har moD pe aankhen achchhi
teri aankhon ka wo kanTa bhi nazar se nikla
kitni kam-go thi meri jaan-e-suKHan wo KHushbu
baat karne ka bahana bhi agar se nikla
jaane kis kis ko diye mere hazaron dil the
ye KHazana mere sine ke khanDar se nikla
mujh ko to gardish-e-dauran ne diya hai lahja
mera matlab to isi zer-o-zabar se nikla
wo bhi mahfil mein chali aai hai pichhe pichhe
main to ghar se isi tanhai ke Dar se nikla
jis ki chhanw mein sukun paen suKHan ke panchhi
peD wo meri hi mehnat ke samar se nikla
mujh ko le Dubi farawani ye sim-o-zar ki
sara mehnat ka maza luqma-e-tar se nikla
ho-na-ho is mein koi raaz chhupa hai 'aKHtar'
kaam aksar to KHuda ka bhi bashar se nikla
Ghazal
Ja ke suraj se mila din mein bhi ghar se nikla
Junaid Akhtar