ja ke phir lauT jo aae wo zamana kaisa
teri aaankhon ne ye chheDa hai fasana kaisa
aankh sarshaar-e-tamanna hai to wada kar le
chaal kahti hai ki ab lauT ke aana kaisa
mujh se kahta hai ki sae ki tarah sath hain hum
yun na milne ka nikala hai bahana kaisa
us ka shikwa to nahin hai na mile tum hum se
ranj us ka hai ki tum ne hamein jaana kaisa
KHud bhi socha tha bahut us ne bhi puchha tha bahut
haal jab KHud hi na samjhe to sunana kaisa
tujh ko pane ki hawas thi so kise tha malum
apne hi aap ko kho baiThenge pana kaisa
Ghazal
Ja ke phir lauT jo aae wo zamana kaisa
Saleem Ahmed