اردو हिंदी
Izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai | Shaahi Shayari
izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai

Ghazal

Izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai

Syed Ameer Hasan Marharvi Diler

;

izzat usi ki ahl-e-nazar ki nazar mein hai
sab kuchh bashar mein hai jo mohabbat bashar mein hai

kya puchhte ho jauhar-e-tegh-e-nigah-e-naz
ye us se tez hai jo tumhaari kamar mein hai

qasid sawal-e-wasl sunen aur wo chup rahen
kya kya na shan-e-be-KHabari is KHabar mein hai

kya jaane kis sawal ka bheja hai ye jawab
ek tir ek chhuri kaf-e-paighambar mein hai

aur ek bar qalb ko taDpae wo nigah
itni sakat abhi to hamare jigar mein hai

ai dil kisi ki yaad bhi aur iztirab bhi
itna nahin KHayal ki mehman ghar mein hai

ghabrae kyun na kashmakash-e-naza se 'diler'
pahla ye ittifaq use umr bhar mein hai