iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya
zindagi ko ek haalat par qayam aa hi gaya
ittifaqan is gali se le baDhi umr-e-rawan
main to samjha tha ki ab mera maqam aa hi gaya
ho gai aawaragardi be-ghari ki parda-dar
kaam jitna hum ko aata tha wo kaam aa hi gaya
bandagi-amoz bazm-e-zindagi bechaargi
aadmi ko jab gharaz aTki salam aa hi gaya
intizam-e-roz-e-ishrat aur kar ai na-murad
id aati hi rahi mah-e-siyam aa hi gaya
rind jaane rind ka iman jaane shaghl-e-rind
pand-go ke munh tak aana tha haram aa hi gaya
ho gaya tark-e-talab ka nam ijz-e-hausla
jis se hum Darte rahe wo ittiham aa hi gaya
ab kahen kis se ki un se baat karna hai gunah
jab kalam aaya zaban par la-kalam aa hi gaya
awwal awwal KHub dauDi kashti-e-ahl-e-hawas
aaKHir aaKHir Dub marne ka maqam aa hi gaya
rifat-e-hasti ko pasti ne dikhaya aasman
jhonpaDon tak unche mahlon se salam aa hi gaya
aa gaya hai ai falak zarron ko ehsas-e-KHudi
main samajhta hun ki waqt-e-intiqam aa hi gaya
wo musalsal ab kahan tabani-e-roz-e-nashat
rah-raw-e-maghrur dekha waqt-e-sham aa hi gaya
hashr se achchha raha ek fitna-e-mahshar-KHiram
phir tamam aata na aata na-tamam aa hi gaya
talKH-kaam afzaish-e-shirini-e-ishrat hui
aate aate ho ke zahr-alud jam aa hi gaya
baat kya chhupti ki tha apna juda tarz-e-kalam
nam aaya bhi na tha 'natiq' ki nam aa hi gaya
Ghazal
Iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya
Natiq Gulavthi