اردو हिंदी
Iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko | Shaahi Shayari
iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko

Ghazal

Iztirab aisa hua dil ka sahaara mujhko

Arshad Jamal u0027Sarimu0027

;

iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko
koi Thahraw nahin KHud mein gawara mujh ko

sar uThati hai wo tajdid ki KHwahish mujh mein
naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko

main tahi-dast khaDa tha sar-e-sahra-e-hayat
aarzu ne teri yak-laKHt pukara mujh ko

ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar
han! Thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko

dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale
waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko

ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak
le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko

waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim'
gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko