izhaar-e-junun bar-sar-e-bazar hua hai
dil dast-e-tamanna ka giraftar hua hai
behosh-e-gunah jo dil-e-bimar hua hai
ek shauq-e-talab sa mujhe talwar hua hai
sahra-e-tamanna mein mera dil tujhe pa kar
shahr-e-hawas-alud se bezar hua hai
behosh-e-KHirad ko junun aagah karega
ye jazb jo aamada-e-paikar hua hai
main wasl ki shab raqs-e-gham-amez karungi
ek dard mera ham-shab-e-bedar hua hai
is darja nasha kab hai ki gumrah rahun main
ye hosh mera dushman-e-dushwar hua hai
TuTi hai ye kashti to mere sath safar ko
wo jaan-e-masafat mera tayyar hua hai
is KHubi-e-qismat pe mujhe naz bahut hai
wo shaKHs meri jaan ka talabgar hua hai
main aaina-e-dil ko sar-e-KHwab hi toDun
is dasht-e-shanasa ka ye israr hua hai
kuchh kaam kab aaya hai mera girya-e-shab bhi
israf-e-dil-o-jaan mera be-kar hua hai
Ghazal
Izhaar-e-junun bar-sar-e-bazar hua hai
Tanveer Anjum