اردو हिंदी
Izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi | Shaahi Shayari
izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi

Ghazal

Izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi

Nawab Moazzam Jah Shaji

;

izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi
wo bhi hue hain anjuman-ara kabhi kabhi

main aur arz-e-shauq meri kya majal hai
hota hai us taraf se ishaara kabhi kabhi

rah-e-talab mein aur koi rahnuma nahin
deti hain laghzishen hi sahaara kabhi kabhi

sunta hun mujh se chhuT ke nahin wo bhi mutmain
nazron ko DhunDhta hai nazara kabhi kabhi

aaya shab-e-firaq wo hangam-e-be-kasi
KHud apna nam le ke pukara kabhi kabhi

sach hai ki rahaten hi nahin husn-e-zindagi
gham ne bhi zindagi ko sanwara kabhi kabhi

yun tai hue 'shajia' mohabbat ke raste
baDh baDh ke manzilon ne pukara kabhi kabhi