اردو हिंदी
Izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae | Shaahi Shayari
izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae

Ghazal

Izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae

Farigh Bukhari

;

izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae
hum ahl-e-yaqin wahm-o-guman tak nikal aae

shadab bahaaron ke tamannai kahan hain
mausam ke qadam zaKHm-e-KHizan tak nikal aae

ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat
aur aankhon se KHun bhi rag-e-jaan tak nikal aae

kab niklegi diwanon ki baraat gharon se
sinon mein baghawat ke nishan tak nikal aae

maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke
dargahon mein sab pir-o-jawan tak nikal aae

ab to na karo rah-numaon ki shikayat
aKHbaron mein ab un ke bayan tak nikal aae

ab kaun sar-e-dar nazar aaega 'farigh'
jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aae