ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain
kitni yaadon ke hasin naqsh ubhar aate hain
kaise guzri shab-e-ashufta-sara kis ko KHabar
log to baam pe hangam-e-sahar aate hain
soch len aap mera sath kahan tak denge
marhale saikDon dauran-e-safar aate hain
yun ghalat to nahin chehron ka tassur bhi magar
log waise bhi nahin jaise nazar aate hain
un se jab tark-e-talluq ka KHayal aata hai
rabte kitne tasawwur mein ubhar aate hain
Ghazal
Ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain
Maqbool Naqsh