اردو हिंदी
Itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua | Shaahi Shayari
itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

Ghazal

Itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

Ajmal Siddiqi

;

itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua
wo qissa-e-azadana-rawi, us zulf ke hathon pak hua

kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan
izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua

jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigDi
har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua

KHush rahiyo sun ai baad-e-saba kahin aur tu apne naz dikha
tu jis ke baal uDati thi wo shaKHs to kab ka KHak hua