itni qurbat bhi nahin Thik hai ab yar ke sath 
zaKHm kha jaoge kheloge jo talwar ke sath 
ek aahaT bhi mere ghar se ubharti hai agar 
log kan apne laga lete hain diwar ke sath 
panw sakit hain magar ghum rahi hai duniya 
zindagi Thahri hui lagti hai raftar ke sath 
ek jalta hua aansu meri aankhon se gira 
beDiyan TuT gain zulm ki jhankar ke sath 
kal bhi anmol tha main aaj bhi anmol hun main 
ghaTti baDhti nahin qimat meri bazar ke sath 
kaj-kulahi pe na maghrur hua kar itna 
sar utar aate hain shahon ke bhi dastar ke sath 
kaun sa jurm KHuda jaane hua hai sabit 
mashware karta hai munsif jo gunahgar ke sath 
shahr bhar ko main mayassar hun siwae us ke 
jis ki diwar lagi hai meri diwar ke sath
        Ghazal
Itni qurbat bhi nahin Thik hai ab yar ke sath
Saleem Siddiqui

