itni muddat baad mile ho
kin sochon mein gum phirte ho
itne KHaif kyun rahte ho
har aahaT se Dar jate ho
tez hawa ne mujh se puchha
ret pe kya likhte rahte ho
kash koi hum se bhi puchhe
raat gae tak kyun jage ho
mein dariya se bhi Darta hun
tum dariya se bhi gahre ho
kaun si baat hai tum mein aisi
itne achchhe kyun lagte ho
pichhe muD kar kyun dekha tha
patthar ban kar kya takte ho
jao jit ka jashn manao
mein jhuTa hun tum sachche ho
apne shahar ke sab logon se
meri KHatir kyun uljhe ho
kahne ko rahte ho dil mein
phir bhi kitne dur khaDe ho
raat hamein kuchh yaad nahin tha
raat bahut hi yaad aae ho
hum se na puchho hijr ke qisse
apni kaho ab tum kaise ho
'mohsin' tum badnam bahut ho
jaise ho phir bhi achchhe ho
Ghazal
Itni muddat baad mile ho
Mohsin Naqvi