itne nazdik se aaine ko dekha na karo
ruKH-e-zeba ki latafat ko baDhaya na karo
dard o aazar ka tum mere mudawa na karo
rahne do apni masihai ka dawa na karo
husn ke samne izhaar-e-tamanna na karo
ishq ek raaz hai is raaz ko ifsha na karo
apni mahfil mein mujhe ghaur se dekha na karo
main tamasha hun magar tum to tamasha na karo
sari duniya tumhein kah degi tumhin ho qatil
dekho mujh ko ghalat andaz se dekha na karo
kaise mumkin hai ki hum donon bichhaD jaenge
itni gahrai se har baat ko socha na karo
tum pe ilzam na aa jae safar mein koi
rasta kitna hi dushwar ho Thahra na karo
wo koi shaKH ho mizrab ho ya dil ho 'aziz'
TuTne wali kisi shai ka bharosa na karo
Ghazal
Itne nazdik se aaine ko dekha na karo
Aziz Warsi