اردو हिंदी
Itne KHamosh bhi raha na karo | Shaahi Shayari
itne KHamosh bhi raha na karo

Ghazal

Itne KHamosh bhi raha na karo

Muneer Niyazi

;

itne KHamosh bhi raha na karo
gham judai mein yun kiya na karo

KHwab hote hain dekhne ke liye
un mein ja kar magar raha na karo

kuchh na hoga gila bhi karne se
zalimon se gila kiya na karo

un se niklen hikayaten shayad
harf likh kar miTa diya na karo

apne rutbe ka kuchh lihaz 'munir'
yar sab ko bana liya na karo