itne dukhi hain hum ko masarrat bhi gham bane
amrit hamare honT se mas ho to sam bane
roe ba-rang-e-abr farishte bhi gundh kar
kis dasht-e-ashk-o-ah ki miTTi se hum bane
kuchh aur bhi to shish-mahal raste mein the
kyun hum faqat nishana-e-sang-e-sitam bane
aankhon ke samne hai shikasta dar-e-sukun
hum tak rahe hain der se taswir-e-gham bane
barse hain dasht-e-zist mein hum par wo sang-o-KHisht
yakja simaT ke aaen to koh-e-alam bane
lahje ke bankpan mein chhupate hain dil ka soz
hum aise rakh-rakhao ke fankar kam bane
jo dastan miTai ziyaada likhi gai
jitne hamare hath tarashe qalam bane
'zulfi' wo sarzamin ki jahan dafn hai 'shakeb'
wo kyun na ahl-e-fan ke liye mohtaram bane

Ghazal
Itne dukhi hain hum ko masarrat bhi gham bane
Saif Zulfi