itna yaqin rakh ki guman baqi rahe
ek zara kar-e-jahan baqi rahe
baqi rahe yaadon ki ek qaus-e-quzah
yani meri ja-e-aman baqi rahe
shorish-e-KHun raqs-e-junun KHatm na ho
qahqaha-e-ham-nafasan baqi rahe
aata rahe yun hi sada mausam-e-gul
silsila-e-dil-zadagan baqi rahe
qafla-e-gham guzran ki bhi suna
hausla-e-ham-safaran baqi rahe
qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye
kis ke liye rishta-e-jaan baqi rahe
aankhon se chhin jaen ek ek KHwab magar
us ki talab dil ka dhuan baqi rahe
Ghazal
Itna yaqin rakh ki guman baqi rahe
Abdullah Kamal