itna to dosti ka sila dijiye mujhe
apna samajh ke zahr pila dijiye mujhe
uTThe na ta-ki aap ki jaanib nazar koi
jitni bhi tohmaten hain laga dijiye mujhe
kyun aap ki KHushi ko mera gham kare udas
ek talKH hadisa hun bhula dijiye mujhe
sidq-o-safa ne mujh ko kiya hai bahut KHarab
makr-o-riya zarur sikha dijiye mujhe
main aap ke qarib hi hota hun har ghaDi
mauqa kabhi paDe to sada dijiye mujhe
har chiz dastiyab hai bazar mein 'adam'
jhuTi KHushi KHarid ke la dijiye mujhe
Ghazal
Itna to dosti ka sila dijiye mujhe
Abdul Hamid Adam