itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha 
raushan charagh dur kisi taq mein raha 
maKHfi bhi tha visal ka wo bab-e-muKHtasar 
kuchh dil bhi mahw hijr ke asbaq mein raha 
sahra ke ishtirak pe raazi the sab fariq 
mahmil ka jo fasad tha ushshaq mein raha 
mafqud ho gaya hai siyaq-o-sabaq se 
jo harf-e-umr saikaDon auraq mein raha 
main tha ki jis ke waste paband ahd-e-hijr 
wo aur ek hijr ke misaq mein raha 
atwar us ke dekh ke aata nahin yaqin 
insan suna gaya hai ki aafaq mein raha 
KHufta the daen baen kai mar-e-astin 
zahrab ka asar mere tiryaq mein raha 
tariKH ne pasand kiya bhi kisi sabab 
ya bas ki shah-e-waqt tha auraq mein raha
        Ghazal
Itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha
Ejaz Gul

