itna majbur aadmi kyun hai
aur agar hai to aagahi kyun hai
har nafas nara-e-KHudi kyun hai
itna ehsas-e-kamtari kyun hai
tirgi ijz-e-sahiban-e-nazar
raushni tak hi raushni kyun hai
aaj hi to kisi se bichhDe hain
aaj ki raat chandni kyun hai
log kya jaane kya samajh baiThen
'naqsh' se itni be-ruKHi kyun hai
Ghazal
Itna majbur aadmi kyun hai
Maqbool Naqsh