itna manus hai dil aap ke afsane se
ab kisi taur bahalta nahin bahlane se
jam-o-mina ke tayyun se hai baala saqi
zarf dekha nahin jata kisi paimane se
aao tajdid-e-wafa phir se karen hum warna
baat kuchh aur ulajh jaegi suljhane se
hai samajhna to mohabbat se guzar ai hamdam
baat aaegi samajh mein na yun samjhane se
ab na chahenge kisi aur ko taslim magar
faeda kya hai mere sar ki qasam khane se
main tahi-hosh sahi aap ka irshad baja
aap bekar ulajhne lage diwane se
'arzu' shikwa-ba-lab ho to rahe ho lekin
faeda guzri hui baat ko dohrane se
Ghazal
Itna manus hai dil aap ke afsane se
Naseer Arzoo