itna karam itni ata phir ho na ho
tum se sanam wada wafa phir ho na ho
ye hi hain din, baghi agar banna hai ban
tujh par sitam kis ko pata phir ho na ho
shayad ye manzar us ke aane tak hi ho
aankhon mein dam aTka hua phir ho na ho
manzil tak apna sath hai, gate chalen
tu ham-qadam tu ham-nawa phir ho na ho
aage thakan kar de na kam shauq-e-safar
naqsh-e-qadam par jaan fida phir ho na ho
Ghazal
Itna karam itni ata phir ho na ho
Ajmal Siddiqi