itna hi bahut hai ki ye barud hai mujh mein
angara-numa shaKHs bhi maujud hai mujh mein
poron se nikal aai hai ek barf ki Tahni
ai dost yahi aatish-e-namrud hai mujh mein
har gend ke pichhe koi aata hai hamesha
ye kaun se bachche ki uchhal-kud hai mujh mein
gali nahin achchhi to tumhein pesh karun kya
ek aur bhi jumla suKHan-alud hai mujh mein
main dekhta rahta hun ki wo khiDki hai KHali
ta-haal yahi raunaq-e-be-sud hai mujh mein
yunhi to nahin log guzarte mere dil se
lagta hai koi manzil-e-maqsud hai mujh mein
Ghazal
Itna hi bahut hai ki ye barud hai mujh mein
Aatif Kamal Rana