itna ehsan aur karta kaun
mujhe se baDh kar mujhe samajhta kaun
din-o-duniya se mawara tha main
meri baaton pe kan dharta kaun
main na hota to yun lab-e-dariya
aabru tishnagi ki rakhta kaun
jo kisi ne likha nahin wo harf
main na likhta to aur likhta kaun
khoT mujh mein to sab ne dekh liya
apna sona magar parakhta kaun
jis ki manzil ho KHwab-e-dar-basta
us musafir ke sath chalta kaun
aaina apne ru-ba-ru rakh kar
main na hansta to mujh pe hansta kaun
Ghazal
Itna ehsan aur karta kaun
Shabi Farooqui