itna bhi shor tu na gham-e-sina chaak kar
ishq ek latif shola hai is ko na KHak kar
ai dil huzur-e-dost ba-sad ehtiram ja
daman ko chaak kar na gareban ko chaak kar
daur-e-gham-e-firaq ki tarikiyon ko dho
jalwon se un ke apna jahan tabnak kar
Dar hai kahin main shauq-e-farawan se mar na jaun
ai jazba-e-tarab na mujhe yun halak kar
aazad is se pahle ki un par nazar paDe
ashkon se dhoke apni nigahon ko pak kar
Ghazal
Itna bhi shor tu na gham-e-sina chaak kar
Jagan Nath Azad