itna bhi na saqi hosh raha pi kar ye hamein mai-KHana tha
gardish mein hamari qismat thi chakkar mein tera paimana tha
mahrum tha soz-e-ulfat se jal jaane se begana tha
fanus ke andar shama rahi bahar bahar parwana tha
mai-KHane se hum ruKHsat jo hue to aur hi kuchh mai-KHana tha
ek kone mein KHum rakha tha ek goshe mein paimana tha
hun rang-e-mohabbat se waqif hun soz-e-mohabbat se waqif
gulzar mein bulbul main tha kabhi mahfil mein kabhi parwana tha
daman mein jo chun kar rakhta tha sab jaib-o-gareban ke TukDe
hoshyar wahi diwana tha diwana wo kab diwana tha
Ghazal
Itna bhi na saqi hosh raha pi kar ye hamein mai-KHana tha
Bismil Allahabadi