itna be-asra nahin hun main
aadmi hun KHuda nahin hun main
hai abhi meri justuju jari
yani KHud ko mila nahin hun main
main ne dawa kiya na hone ka
mujh ko malum tha nahin hun main
nikal aaya main zat se bahar
apne andar raha nahin hun main
main jo hun main bhi asl mein tum hun
meri jaan dusra nahin hun main
tum mujhe jaan hi nahin sakte
aks hun aaina nahin hun main
hun bura, manta hun main lekin
is qadar bhi bura nahin hun main
dusron ki to baat hi hai alag
apna bhi ham-nawa nahin hun main
raaz-e-sar-basta ki tarah 'sahir'
abhi KHud par khula nahin hun main

Ghazal
Itna be-asra nahin hun main
Parvez Sahir