اردو हिंदी
Itna achchha na agar hota to hum sa hota | Shaahi Shayari
itna achchha na agar hota to hum sa hota

Ghazal

Itna achchha na agar hota to hum sa hota

Bimal Krishn Ashk

;

itna achchha na agar hota to hum sa hota
hum ne dekha hi na hota tujhe chaha hota

tu mere pas bhi hota to bhala kya hota
mera ho kar bhi agar aur kisi ka hota

ab to kuchh kuchh ye sabhi sab hi mein mil jate hain
koi to hota ki main hota to achchha hota

nanhe bachchon ki tarah sote hain hansne walo
tum ne aaise mein agar aap ko dekha hota

ab to jo kuchh hun yahi kuchh hun bura hun ki bhala
aisa kya kahiye ki yun hota to kaisa hota

jab daraKHton mein hawa loriyan gati guzri
tum ne aaise mein kisi aur ko dekha hota

ye andhera ki range jata hai Tahni Tahni
tere chehre ki jhalak dekh ke utra hota

ek duniya ne tujhe dekha hai lekin main ne
jaise dekha hai tujhe waise na dekha hota

chand yun shaKHon mein uljha hi na rahta kal raat
'ashk' wo shaKHs agar pas hi baiTha hota