اردو हिंदी
Ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai | Shaahi Shayari
ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai

Ghazal

Ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai

Jaleel Manikpuri

;

ismat ka hai lihaz na parwa haya ki hai
ye sin ghazab ka hai ye jawani bala ki hai

sach puchhiye to nala-e-bulbul hai be-KHata
phulon mein sari aag lagai saba ki hai

dil hai ajib gul chaman-e-rozgar mein
rangat to phul ki hai magar bu wafa ki hai

KHalwat mein kyun ye sath hain sab ko alag karo
shoKHi ka hai na kaam na hajat haya ki hai

wo hath un ke chumti hai main hun paemal
ye hain mere nasib wo qismat hina ki hai

anjam kya ho dagh-e-mohabbat ka dekhiye
sine mein ibtida se jalan intiha ki hai

mausam yahi to pine-pilane ka hai jalil
mai-KHwar bagh bagh hain aamad ghaTa ki hai