اردو हिंदी
Ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah | Shaahi Shayari
ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah

Ghazal

Ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah

Munawwar Aziz

;

ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah
jama hona hai mujhe ab ke bikhar kar kis tarah

main dua ke par laga kar bhi pahunch pata nahin
aasman uThta chala jata hai upar kis tarah

wahime kaise yaqin ban kar lahu mein rach gae
zalzale phaile meri miTTi ke andar kis tarah

waswason ne aan ghera hai mujhe phir kis liye
rakh diya main ne qadam mauj-e-hawa par kis tarah

dekhte hain sab 'munawar' sochta koi nahin
aks rah jata hai aaine ke andar kis tarah