isi tarah meri aaankhon ko band hona tha
tere ghurur ka parcham buland hona tha
nigah ke sath kahan tak safar kiya jae
thakan se chur mera band band hona tha
hisar-e-zat hai ya koi aaina-KHana
na is qadar bhi hamein KHud-pasand hona tha
shua-e-mahr ka dam bhi baDa ghanimat hai
fasil-e-shab ko sahar tak buland hona tha
bahut dabiz sahi chadar-e-shab-e-zulmat
diye ki lau ko magar sar-buland hona tha
bandhe hain sabz ribbon mein siyah baal us ke
kamand ko bhi asir-e-kamand hona tha
Ghazal
Isi tarah meri aaankhon ko band hona tha
Qasid Aziz