isi mein KHush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalungi jahan tak ye sath rahta hai
zamin-e-dil yunhi shadab to nahin ai dost
qarib mein koi dariya zarur bahta hai
ghane daraKHton ke girne pe ma-siwa-e-hawa
azab-e-dar-badri aur kaun sahta hai
na jaane kaun sa fiqra kahan raqam ho jae
dilon ka haal bhi ab kaun kis se kahta hai
maqam-e-dil kahin aabaadiyon se hai bahar
aur is makan mein jaise ki koi rahta hai
mere badan ko nami kha gai hai ashkon ki
bhari bahaar mein kaisa makan Dhahta hai
Ghazal
Isi mein KHush hun mera dukh koi to sahta hai
Parveen Shakir