isi mamul-e-roz-o-shab mein ji ka dusra hona
hawadis ke tasalsul mein zara sa kuchh naya hona
hamein to dil ko bahlana paDa hile hawale se
tumhein kaisa laga basti ka be-saut-o-sada hona
sanam bante hain patthar jab alag hote hain Takra kar
ajab kar-e-abas miTTi ka miTTi se juda hona
magar phir zindagi bhar bandagi duniya ki hai warna
kise achchha nahin lagta hai thoDa sa KHuda hona
miTana naqsh us ke bagh ki kohna fasilon se
hare patton pe us ke nam-e-nami ka likha hona
Ghazal
Isi mamul-e-roz-o-shab mein ji ka dusra hona
Suhail Ahmed Zaidi