isi KHayal se tark un ki chah kar na sake
kahenge log ki do din nibah kar na sake
hamein jo dekh liya jhuk gai haya se aankh
idhar-udhar sar-e-mahfil nigah kar na sake
KHuda ke samne aaya kuchh is ada se wo shoKH
ki munh se uf bhi zara dad-KHwah kar na sake
tere karam ka bharosa hi zahidon ko nahin
isi liye to ye khul kar nigah kar na sake
raha ye pas hamein aap ki nazakat ka
ki dil ka KHun hua munh se aah kar na sake
tumhein 'hafiz' se nafrat hai to ye fikr hai kyun
kisi hasin se wo rasm-o-rah kar na sake
Ghazal
Isi KHayal se tark unki chah kar na sake
Hafeez Jaunpuri