isi KHayal se dil mein mere ujala hai
dimagh waqt ki dhaDkan ko sunne wala hai
taDap talab hai meri tishna-lab samundar hun
habab kahte hain jis ko zaban pe chhaala hai
tamam KHwab KHayalat ban ke TuTe hain
ye daur dekhiye ab kya dikhane wala hai
main apne haal se ghabra ke mar gaya hota
mujhe to waqai bite dinon ne pala hai
palaT ke sham ko wapas pahunch bhi paunga
is ek soch ne ghar se qadam nikala hai
main gard ban ke uDa tha talash mein apni
tere KHayal ne lekin mujhe sambhaala hai
'shafiq' kaise koi kaifiyat bayan hogi
har ek lafz meri soch ka niwala hai
Ghazal
Isi KHayal se dil mein mere ujala hai
Shafeeq Abbas