isi KHayal se dil ki rafu-gari nahin ki
wo jis ne zaKHm diya us ne maryami nahin ki
tera wajud sarasar hai multafit to phir
tere gurez ne kyun ab talak kami nahin ki
hua paDa hai yunhi kalba-e-nazar tarik
ki aaj us ke sarapa ne raushni nahin ki
kahaniyon mein hi milte hain kuchh nishan mere
guzar di hai jo main ne wo zindagi nahin ki

Ghazal
Isi KHayal se dil ki rafu-gari nahin ki
Syed Kashif Raza