isi KHatir to us ki aarti hum ne utari hai 
ghazal bhi man hai aur us ki bhi sheron ki sawari hai 
mohabbat dharm hai hum shairon ka dil pujari hai 
abhi firqa-paraston pe hamari nasl bhaari hai 
sitare chand suraj phul jugnu sath hain har-dam 
koi sarhad nahin aisi ajab duniya hamari hai 
wo dil ke dard ki KHushbu ka aalam hai ki mat puchho 
tumhaari yaad mein ye umr jannat mein guzari hai 
ye duniya kya sudhaaregi hamein hum to hain diwane 
hamin logon ne ab tak aql duniya ki sudhaari hai
        Ghazal
Isi KHatir to uski aarti humne utari hai
Mayank Awasthi

