isi futur mein karb-o-bala se lipTe hue
tamam umr ganwa di ana se lipTe hue
abhi bhi mil na saki in ki KHamushi ko zaban
ye log ab bhi hain saut-o-sada se lipTe hue
hawa ke shahr mein bas sans lene aate hain
wagarna ahl-e-zamin hain KHala se lipTe hue
har ek samt laga hai KHamoshiyon ka hujum
ye kaun log hain koh-e-nida se lipTe hue
hansi bhi aati hai in par taras bhi aata hai
ye nafraton ke pujari KHuda se lipTe hue
hum ibtida hi mein pahunche the intiha ko kabhi
ab intiha mein bhi hain ibtida se lipTe hue
main zindagi ke masail se laDna chahta hun
magar wo hath nigar-e-hina se lipTe hue
wagarna KHatm na hota gahan kabhi 'azar'
andhere KHauf-zada the ziya se lipTe hue
Ghazal
Isi futur mein karb-o-bala se lipTe hue
Faryad Aazar