isi duniya mein duniyaen hamari bhi basi hain
rawish se siDhiyan marmar ki pani mein gai hain
mahal hai aur sulagta ud hai aur jhaD-fanus
lahu se mushk aaza se shuaen phuTti hain
tamanna ke jazire aasmanon mein bane hain
mere chaaron taraf lahren isi jaanib uThi hain
ye kaisi dhup aur pani mein afzaish hui hai
bahishti Tahniyan is oDhni se jhankti hain
hamara nam bhi bara-dari par naqsh karna
ye sari jaliyan hum ne nigahon se buni hain
Ghazal
Isi duniya mein duniyaen hamari bhi basi hain
Mohammad Izhar ul Haq