isi dar se isi diwar se aage nahin baDhta
ye kaisa pyar hai jo pyar se aage nahin baDhta
hamari KHwahishen izhaar ki had tak nahin jatin
hamara hausla didar se aage nahin baDhta
hamari zindagi mein ek susti si musalsal hai
hamara KHun is raftar se aage nahin baDhta
kisi ke hath se pi kar kisi ko bhul jate hain
hamara dard is mear se aage nahin baDhta
hamari zindagi logon mein rah kar bhi akeli hai
hamara rasta bazar se aage nahin baDhta
ajab ek qaht hai us aankh mein tere hawale se
chhalak kar ashk bhi ruKHsar se aage nahin baDhta
hamari justuju hai hum tere iqrar tak pahunchen
hamara KHwab ek inkar se aage nahin baDhta
hamari soch teri gard-e-pa ko chhu nahin sakti
hamara zehn is aazar se aage nahin baDhta
hamari aarzu 'zishan' puri hi nahin hoti
hamara masala aKHbar se aage nahin baDhta
Ghazal
Isi dar se isi diwar se aage nahin baDhta
Zeeshan Mehdi