isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti
ye duniya gham to deti hai sharik-e-gham nahin hoti
charaghon mein lahu insaniyat ka jagmagata hai
magar insaniyat ki chashm-e-kam pur-nam nahin hoti
KHushi mahsus karta hun to duniya sath deti hai
musibat mein magar aamada-e-matam nahin hoti
KHushi ki shama to ai dost zad mein aa bhi jati hai
magar dagh-e-jigar ki raushni maddham nahin hoti
saliqa chahiye aawaz ko pahchan lene ka
nawa-e-shairi har dam nawa-e-gham nahin hoti
'jalil' un se bichhaD kar ek zamana ho gaya lekin
abhi tak mere ashkon ki rawani kam nahin hoti

Ghazal
Isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti
Jaleel Allahabadi