اردو हिंदी
Isi aashiqi mein paiham hui KHanuman-KHarabi | Shaahi Shayari
isi aashiqi mein paiham hui KHanuman-KHarabi

Ghazal

Isi aashiqi mein paiham hui KHanuman-KHarabi

Suha Mujaddadi

;

isi aashiqi mein paiham hui KHanuman-KHarabi
dil-e-mubtala ki ab tak hai wahi junun-maabi

rahe soz-e-ishq lekin gae hosh phir na aaen
wo tajalliyon se pur hai teri chashm ki gulabi

hamein tum ab apni mahfil mein bula ke kya karoge
na wo josh-e-baryabi na wo hosh-e-kaamyabi

jo sune to dad mumkin hai magar bhala sune kyun
meri bebasi ke shikwe tera husn-e-la-jawabi

magar itni sadgi bhi to bajae KHud ada hai
ba-KHayal-e-parda-dari ba-jamal-e-aftabi

meri aarzu nigahi ne sitam kiya sikha kar
tere is shabab-e-rangin ko mazaq-e-be-hijabi

koi hoshyar kyunkar ise dilbari mein jaane
ye nazar ki jo ba-zahir hai shua-e-nim-KHwabi

na sahi 'suha' ki aalam pe ho aashkar warna
meri KHaksariyon mein hai shikwa-e-bu-turabi