ishwa kyun dil-ruba nahin hota
ghamza kyun hashr-za nahin hota
aazmaen lahu ko rang-e-hina
khul gaya der-pa nahin hota
jaan dete ho un ke wadon par
jin ka wada wafa nahin hota
aaina us ko deta hai targhib
jo koi KHud-numa nahin hota
kab nahin hoti fikr kis lamha
dosh par tasma-pa nahin hota
jis ki lau se chamak uThi hai mizha
aisa nawak KHata nahin hota
zeb-e-tan jama aaina-paikar
koi pahlu chhupa nahin hota
sang kah kar pukariye us ko
dil jo dard-ashna nahin hota
khata hai aadmi nazar ke fareb
dida-e-dil jo wa nahin hota
nale ko dastaras nahin na sahi
hath KHud kyun rasa nahin hota
Ghazal
Ishwa kyun dil-ruba nahin hota
Syed Hamid