ishq wo mashk hai jo lakh chhupae na chhape
dagh hum se bhi mohabbat ke lagae na chhape
jalwa-gar jaise pas-e-abr mah-e-kaamil ho
ruKH-e-zeba wo sitamgar na dikhae na chhape
husn ko hosh-ruba nim-hijabi ne kiya
wo kabhi saf mere samne aae na chhape
bewafai se wo apni rahe munkir lekin
un ki aankhon mein base aks parae na chhape
si liya chaak-e-dahan raaz chhupane ko magar
ashk aankhon ne musalsal jo bahae na chhupe
shab-e-tarik ne rakha tha bharam kitnon ka
jab lagi aag ujala hua sae na chhupe
KHauf-e-ruswai raha KHwahish-e-qurbat bhi 'haqir'
hum mila un se nigahon ko na pae na chhape

Ghazal
Ishq wo mashk hai jo lakh chhupae na chhape
Haqeer Jahani