ishq un sab se alag sab se juda hota hai
chiKHne rone taDap lene se kya hota hai
yaad aata hai gale mil ke tera pachhtana
har nai id mein ye ranj naya hota hai
jo bhala karta hai allah ke bandon ke liye
ghaib se us ka bhi har kaam bhala hota hai
guft-o-gu mein ye nazakat hai ki allah allah
ek ek harf bhi mushkil se ada hota hai
qahr hota hai hasinon mein jo hota hai matin
shoKH hota hai jo un mein wo bala hota hai
jine deti hai kise pyar ki surat kafir
dost to dost hai dushman bhi fida hota hai
tazkire husn ke sun husn ka dil-dada na ban
baz baaton ke to sunne mein maza hota hai
mah-jabin id mein angusht-numa kyun na rahen
id ka chand hi angusht-numa hota hai
phabtiyan ghair pe kasne ko hai maujud safi'
aur us pe kabhi hansiye to KHafa hota hai

Ghazal
Ishq un sab se alag sab se juda hota hai
Safi Aurangabadi