ishq shabnam nahin sharara hai
raaz ye mujh pe aashkara hai
ek karam ki nigah kar dije
umr-bhar ka sitam gawara hai
raqs mein hain jo saghar-o-mina
kis ki nazron ka ye ishaara hai
aisi manzil pe aa gaya hun dost
tere gham ka faqat sahaara hai
lauT aae hain yar ke dar se
waqt ne jab hamein pukara hai
dil na TuTe to zarra-e-nachiz
kimiya hai jo para para hai
jam-e-rangin mein un ka aks-e-jamal
ya shafaq mein koi sitara hai
naw Takra chuki hai tufan se
apna murshid hi ab sahaara hai
ishq karna hai mat kha jaana
us mein jita hua bhi haara hai
apne 'darshan' pe ek nigah-e-karam
ki gham-e-zindagi ka mara hai
Ghazal
Ishq shabnam nahin sharara hai
Darshan Singh