ishq se ishq ke anjam ki baaten hongi
subh tak aap ki phir sham se baaten hongi
dur manzil hai hawaen bhi muKHalif si hain
do ghaDi baiTho to aaram se baaten hongi
jis tarah hoti hai rindon ki KHarabaat se baat
is tarah gardish-e-ayyam se baaten hongi
saqiya ab to inayat ki nazar ho jae
kab talak mujh se tahi-jam ki baaten hongi
naz karte hain agar apne KHad-o-KHal pe ye
aap ke husn ki asnam se baaten hongi
inqalab aae to phir himmat-e-mardan ki qasam
waqt ki waqt ke ahkaam se baaten hongi
aao kuchh hausla-e-dil se bhi len kaam ai 'nur'
kab tak ab hasrat-e-nakaam se baaten hongi
Ghazal
Ishq se ishq ke anjam ki baaten hongi
Noor Mohammad Noor