ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta
naqsh-e-yak-KHwab miTaya bhi nahin ja sakta
hum use dekh ke nazren bhi haTa sakte nahin
aur use dekhne jaya bhi nahin ja sakta
wo kahin KHwab mein poshida koi KHwab sahi
der tak dard dabaya bhi nahin ja sakta
zer-e-lab hain jo sadaen koi sunta hi nahin
aur bahut shor machaya bhi nahin ja sakta
dil chhupaya kisi titli ke paron ke niche
ye chhupana to chhupaya bhi nahin ja sakta
raat ne git sunaya tha kisi subh ka git
git aisa kahin gaya bhi nahin ja sakta
ek naya rang uDaya hai in aaankhon se 'ata'
rang rangon mein milaya bhi nahin ja sakta
Ghazal
Ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta
Ahmad Ata