ishq se bach ke kidhar jaenge hum
hai ye maujud jidhar jaenge hum
tan ke bas rakhiye qabza par hath
dekhiye muft mein Dar jaenge hum
teri dahliz par apne sar ko
ek din kaT ke dhar jaenge hum
wo ye kahte hain na de dil hum ko
dekh lete hi mukar jaenge hum
mana karte ho abas yaro aaj
us ke ghar jaenge par jaenge hum
dil ki leni hai KHabar hum ko zarur
aaj to phir bhi udhar jaenge hum
dam kahin lenge na phir ta-ba-adam
tere kucha se agar jaenge hum
tu na guzrega jafa se zalim
jaan se apni guzar jaenge hum
zist baqi hai to apna 'rangin'
nam is ishq mein kar jaenge hum
Ghazal
Ishq se bach ke kidhar jaenge hum
Rangin Saadat Yaar Khan