اردو हिंदी
Ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin | Shaahi Shayari
ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin

Ghazal

Ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin

Atif Khan

;

ishq pagal-pan mein sanjida na ho jae kahin
mujh ko Dar hai tu mere jaisa na ho jae kahin

fasl-e-gul mein hai shajar ko fikr ne tanha kiya
fasl-e-gul ke baad wo tanha na ho jae kahin

titliyon se hum riya-kari gulon ki kah to den
Dar yahi hai shoKH phir sada na ho jae kahin

hum mudawa apne gham ka is liye karte nahin
KHud masiha hone ka dawa na ho jae kahin