ishq ne KHun kiya hai dil jis ka
para-e-lal ashk hai tis ka
yaad kar kar amal mein lata hun
har suKHan ishq ke mudarris ka
chashm-e-saqi ka wasf likhta hun
le qalam hat shaKH-e-nargis ka
gham ne pila kiya hamara rang
kimiya-gar ne zar kiya mis ka
zulf dikhla ke dil lapeT liya
ab pareshan hai haal majlis ka
tum ne pae ho husn ki daulat
puchhte kab ho haal muflis ka
be-kasi mujh sin aashna hai 'siraj'
nahin to aalam mein kaun hai kis ka
Ghazal
Ishq ne KHun kiya hai dil jis ka
Siraj Aurangabadi

